barish ki awaz amjad islam amjad


aaj bohat dino'n baad suni hai barish ki awaz

aaj bohat dino'n baad kissi manzar nay rusta roka hai
rim jhim ka malboos pahan kar yaad kissi ki aaye hai

aaj bohat dino'n baad achanak aankh younhi bhar aaye hai
aankh or manzar ki wusat main charon janib barish hai

aur barish main door kahin ek ghar hai jis ki
aik aik eent par teray meray "khwab" likhay hain

or is ghar ko janay wali kuch galiyan hain
jis main hum dono'n kay saaye tanha tanha bheeg rahay hain

darwazay par qufl para hai or dareechay soonay hain
deewaron pay jammi hoye kaaii main chup kar

mousam hum ko dekh rahay hain
kitnay badal hum dono'n ki aankh say ojhal

baras baras kar guzar chukay hain
aik kammi si aik nammi si

charon janib phail rahi hai
kai zamanay aik hi pal main

baham mil kar bheeg rahay hain
andar yaadain sookh rahi hain

bahar manzar bheeg rahay hain..

\



اس کتاب کو ڈاؤن لوڈ کرنے کے لیے یہاں کلک کریں ۔